​Best 500+Life Shayari In English

Our Life Shayari in English is for those who want to learn how to live life fully. These Shayaris are dedicated to people facing hardships, to give them motivation and strength. Read carefully, stay positive, and keep smiling

Life Shayari In English

​Life Shayari In English

Ajeeb tarah se guzar gayi meri bhi zindagi, Socha kuch, kiya kuch, hua kuch, mila kuch.
laai hai kis maqaam pe ye zindagi mujhe mehsoos ho rahi hai khud apni kami mujhe
tum mohabbat ko khel kahte ho ham ne barbaad zindagi kar li
Aaj phir waqt nikla tha mere khwahish poore karne ki, Phir achanak zimmedari aade aa gayi.
Hanskar jeena hi dastoor hai zindagi ka, Ek yehi kissa mashhoor hai zindagi ka.
Chhoti si zindagi hai armaan bahut hai, Hamdaad nahi koi insaan bahut hai, Dil ka dard sunaye to kisko, Jo dil ke kareeb hai, wo anjaan bahut hai.
Bure waqt ka ak yeh bhi faida hota, Keh falto aur munafiq log aapki zindagi se nikal jate hain.
laai hai kis maqaam pe ye zindagi mujhe mehsoos ho rahi hai khud apni kami mujhe
Haasil-e-zindagi hasraton ke siwa aur kuch bhi nahi, Ye kiya nahi, wo hua nahi, ye mila nahi, wo raha nahi.
zindagi kis tarah basar hogi dil nahin lag raha mohabbat mein
Ye na poocho, ki ye zindagi khushi kab deti hai? Kyunki ye shikayat use bhi hai, jise ye zindagi sab deti hai.
Life mein har cheez hansi mazaq nahi hoti, Kuch cheezon aur kuch mamlaat mein, Insan ko sanjidah hona padta hai.
kitni sacchaai se mujh se zindagi ne kah diya tu nahin mera to koi doosra ho jaayega
Zindagi mein jeet aur haar hamari soch banati hai, Jo maan leta hai, wah haar jata hai, Jab thaan leta hai, wah jeet jata hai.
Kal na hum honge na koi gila hoga, sirf simti hui yaadon ka silsila hoga, Lamhe hain chalo hanskar bita lein, jaane kal zindagi ka kya faisla hoga.
Ishq us se karo jis mein khamiyan bahut hain, Yeh husan se bhare chehre itrate bahut hain.
zindagi kitni masarrat se guzarti ya rab aish ki tarah agar gham bhi gawara hota
dhoop mein niklo ghataon mein naha kar dekho zindagi kya hai kitaabon ko hata kar dekho
sair kar duniya ki ghaafil zindagaani phir kahaan zindagi gar kuchh rahi to ye jawaani phir kahaan
Zindagi mein saara jhagda hi khwahishon ka hai, Na to kisi ko gham chahiye aur na hi kisi ko kam chahiye.
Zindagi mein agar kuch khona pade toh hamesha yaad rakhna, Jo khoya hai uska ghum nahi, Jo paya hai woh kisi se kam nahi, Jo nahi hai woh ak khuwab hai, Aur jo hai woh lajawab hai.
bahut haseen sahi sohbaten gulon ki magar vo zindagi hai jo kaanton ke darmiyaan guzre
Kitna dukh hai is jeevan mein, sab kuch to ab dekh liya, Naraz hua tha main duniya se, ab khud se hi main rooth gaya!
jo padha hai use jeena hi nahin hai mumkin zindagi ko main kitaabon se alag rakhta hoon
Bematlab ki zindagi Instagram Post Bematlab ki zindagi ka silsila khatam, Ab jis tarah ki duniya us tarah ke hum.
Jisko jo kehna hai kehne do, Mujhe apne jeevan mein mast rehne do.

Sad shayari in english for life

Har kisi ko har baat ka jawab dena zaroori nahi hota, Bahot si jagah par waqi dil bara karna padta hai, Dar guzar karna padta hai har koi nahi samajhta, Aap ko aur har kisi ko aap samajha nahi sakte.
Waqt kabhi bura nahi hota insan use bura samajhta hai, Toh chalein bura hi kehh lein magar yaad rakhein, Yeh ak behtreen waqt hota hai kiyun keh iss mein, Aapke ird gird bad tareen log samne aa jate hain.
Baaz auqat dil ak ajeeb si kaifiyat se guzarta hai, Dil chahta hai keh insan sab logon se door kisi nayi, Duniya mein ja basey jahan na koi dost ho, Aur na koi humdard aur na koi dard dene wala bas humari zaat ho.
Apni zindagi mein aise logon ko shamil karo, Jo kabhi aaina aur kabhi sayah ban kar sath rahein, Kiyun keh aaina kabhi jhoot nahi bolta, Aur sayah kabhi sath nahi chodta.
Yeh duniya bahot khubsurat aur por sakoon ho sakti hai, Agar har insan dusre insan ko zindagi guzarne ka, Wohi haq de jo woh apne liye chahta hai.
Jo jitna tumhara hai, Tum bhi uske utne hi raho, Ziyada dil ki ghulami mein, Izzat ki nelaami ho jati hai.
Kabhi kabhi kho jana bhi chahiye, Yeh dekhne ke liye keh, Kon talash karne aata hai.
Zara si zindagi hai armaan bahut hain, Humdard nahi koi insan bahut hain, Dil ka dard sunaye toh sunaye kis ko, Jo dil ke qareeb hain woh anjaan bahut hain.
Akele rehne ka hunar rakho ghalib, Kiyun keh sapne aur apne, Kabhi bhi badal sakte hain.
phir usi bewafa pe marte hain phir wahi zindagi hamaari hai
Khwabon ko pankh do, udaan bharne do. ✈️ Aasmaan chhoone ka jazba rakho.
jo guzaari na ja saki ham se ham ne vo zindagi guzaari hai
Zindagi sirf saanson ka naam nahi hai, Isliye har saans lene wala zinda nahi hota.
tu kahaani hi ke parde mein bhali lagti hai zindagi teri haqeeqat nahin dekhi jaati
Har roz ek nai shuruaat hoti hai. Kal ki chinta chhod, aaj jeena seekho.
zindagi ek fan hai lamhon ko apne andaaz se ganwaane ka
Zindagi ki kitaab mein har panne par ek kahani hai. Khud ki kahani likhne ka mauka mat gawao.
le de ke apne paas faqat ik nazar to hai kyun dekhen zindagi ko kisi ki nazar se ham
Andhere mein bhi ujala dhoondhne ki koshish karo. ✨ Kabhi haar mat mano.
zindagi cheen le bakshi hui daulat apni tu ne khwaabon ke siva mujh ko diya bhi kya hai
Mere dost ismein samay lagega, lekin ye sahi hoga. Tum jo chaahoge wahi hoga.
main sochta hoon bahut zindagi ke baare mein ye zindagi bhi mujhe soch kar na rah jaaye

Zindagi shayari on life in english

Ak ladki kabhi bhi wafadaar ladke ko samajh nahi sakti, Kiyun keh use guroor hota hai ke uske chahne wale bahut hain.
Teen cheezein kabhi wapas nahi aati, Guzra howa waqt bole gaye alfaz, Toota hua bharosa.
Apni zindagi mein har kisi ko ehmiyat do, Jo acha hoga woh khushi dega, Aur jo bura hoga woh sabaq dega.
Zaroori nahi keh har koi aapko ko samajh paye, Tarazu sirf wazan bata sakta hai miyar nahi.
Koi na mile toh qismat se gillah nahi karte, Aksar log mil kar bhi mila nahi karte, Har shakh par bahaar aati zaroor hai magar, Har shakh par phool khila nahi karte.
Agar tum kisi ko chota dekh rahe ho, Ya toh tum door se dekh rahe ho, Ya phir tum guroor se dekh rahe ho.
Aise logon ki qadar karein jo aapko us waqt sunte hain, Jab aapko aur koi sunne wala nahi hota, Aur aapko us waqt samajhte hain, Jab duniya aap par shak kar rahi hoti hai.
Aaj main jeene wala parinda hoon Isliye abhi tak zinda hoon..!
bahut pehle se un qadmon ki aahat jaan lete hain tujhe ai zindagi ham door se pehchaan lete hain
Jo teri chaah mein guzri wahi zindagi thi bas Uske baad to bas zindagi ne guzara hai mujhe|
zindagi zinda-dili ka hai naam murda-dil khaak jiya karte hain
Waqt ke saath khud ko mazboot bana raha hoon Zindagi mein akele kaise khush rehna hai ye khud ko sikha raha hoon
zindagi tujh se bhi kya khoob taalluq hai mera jaise sukhe hue patte se hawa ka rishta
Na jaane kis tarah ka ishq kar rahe hain hum Jiske ho bhi nahi sakte uske ho rahe hain hum

Happy life shayari in english

main zindagi ka saath nibhaata chala gaya har fikr ko dhuen mein udaata chala gaya
Shor ki to umr hoti hai Khamoshi to sada bahar hoti hai
Waqt rehta nahi kahi bhi tik kar Aadat iski bhi insaan jaisi hai
koi khaamosh zakham lagti hai zindagi ek nazm lagti hai
zindagi kahte hain jis ko chaar din ki baat hai bas hamesha rahne waali ik khuda ki zaat hai
dard aisa hai ki jee chahe hai zinda rahiye zindagi aisi ki mar jaane ko jee chahe hai
bada ghaate ka sauda hai sada ye saans lena bhi badhe hai umr jyun-jyun zindagi kam hoti jaati hai
doosri koi ladki zindagi mein aayegi kitni der lagti hai us ko bhool jaane mein

Life partner shayari in english

mujhe khabar nahin gham kya hai aur khushi kya hai ye zindagi ki hai soorat to zindagi kya hai
Single logo ke paas kuch ho na ho, Sukoon bhari neend zarur hoti hai.
Single logo ke paas kuch ho na ho, Sukoon bhari neend zarur hoti hai.
Kabhi udaas mat raho zindagi se Agar mili hai to jeene ke bahane dhoondo.
ab faqat saansey bachiin hain doston ham to kab ka zindagi se mar gaye
dekha hai zindagi ko kuchh itne qareeb se chehre tamaam lagne lage hain ajeeb se
Har roz ek nai shuruaat hoti hai. Kal ki chinta chhod, aaj jeena seekho.
sirf zinda rahne ko zindagi nahin kahte kuchh gham-e-mohabbat ho kuchh gham-e-jahaan yaaro
Zindagi ek pareeksha hai, har din ek sawaal hai. Jawab dhoondhne ki koshish karo.
kattee hai aarzoo ke sahaare pe zindagi kaise kahoon kisi ki tamannaa na chahiye
Zindagi sirf saanson ka naam nahi hai, Isliye har saans lene wala zinda nahi hota.
ada hua na qarz aur vujood khatm ho gaya main zindagi ka dete dete sood khatm ho gaya
Aaram se zindagi jeena chahte ho to Apne dil se lalach nikal do.
bahut chal base yaar ai zindagi koi din ki mehmaan tu rah gai
Khamosh baithen to log kehte hain udasi achhi nahi Zara sa hans lein to muskurane ki wajah pooch lete hain!
hosh waalon ko khabar kya be-khudi kya cheez hai ishq kijeye phir samjhiye zindagi kya cheez hai
zindagi tu ne mujhe qabr se kam di hai zameen paanv failaaun to deewaar mein sar lagta hai
ai gham-e-zindagi na ho naaraz mujh ko aadat hai muskuraane ki
Meherbani zamane ki ab ye dil masoom na raha Patthar to nahi bana par ab mom bhi na raha..!!
zindagi tujh se har ik saans pe samjhauta karoon shauq jeene ka hai mujh ko magar itna bhi nahin
Kya bataye kaise kaise mil jaate hain log Rehmdil kya hue roz chhal jaate hain log|
band kamra sar pe pankha teergi hai aur main ek ladai chal rahi hai zindagi hai aur main
Yaaro main mohabbat mein adhoora hi sahi Magar zindagi ko sukoon se jeeta hoon..
talkhiyaan is mein bahut kuchh hain maza kuchh bhi nahin zindagi dard-e-mohabbat ke siva kuchh bhi nahin
Tu kitni bhi khoobsurat kyu na ho aye zindagi Khushmijaaz doston ke bagair achhi nahi lagti

Life motivational shayari in english

Naseebo ko kosne se kya faayda Hunar paane ke liye haath ki lakeerein ghisni padti hain.
zindagi ik haadsa hai aur kaisa haadsa maut se bhi khatm jis ka silsila hota nahin
Na jaane zindagi ka ye kaisa daur hai Insaan khamosh hai aur online kitna shor hai.
mera tohfa udhaar rahne do tumhein tohfe mein zindagi denge
yun to marne ke liye zahar sabhi peete hain zindagi tere liye zahar piya hai main ne
Badalte waqt se insaan ko ghabrana kaisa Kal kisi aur ka tha aaj kisi aur ka hai.
kyun darein zindagi mein kya hoga kuchh na hoga to tajurba hoga
Jujhti rahi, bikharti rahi, tootti rahi, Kuch is tarah zindagi, nikhrti rahi.
kya kahoon aap kitne pyaare hain itne pyaare ki pyaar hi ho jaaye
maut vo hai jo aaye sajde mein zindagi vo jo bandagi ho jaaye
Aaram se zindagi jeena chahte ho to Apne dil se lalach nikal do.
har ek kaam hai dhoka har ek kaam hai khel ki zindagi mein tamasha bahut zaroori hai
Zindagi hai so guzar rahi hai warna, Hume guzre kaafi samay ho gaya hai.
zindagi shaayad isee ka naam hai dooriyaan majbooriyaan tanhaaiyaan
ye zindagi bhi ajab kaarobaar hai ki mujhe khushi hai paane ki koi na ranj khone ka
Zindagi mein hume thokar lagni bhi zaroori hai, Tabhi hum sahi raste ki pehchaan karte hain.
kuchh din se zindagi mujhe pahchaanti nahin yun dekhti hai jaise mujhe jaanti nahin
maut ka bhi ilaaj ho shaayad zindagi ka koi ilaaj nahin

​Thank you for reading our Life Shayari in English. We hope these lines inspire you to stay strong, find hope in tough times, and live each moment with a smile.

Leave a Comment